Bina Internet ke Online Payment Kese Kare
Aaj k digital world m online payment karna ek aam baat hai. Covid-19 k virus k aad jyada tar log online payment karna pasand karte hai. Online payment karna aasan hai aur isme virus se infect hone ka koi risk bhi nahi hota.
Online payment karne k liye kafi sare tarike hote hai. Aap online payment apne debit ya credit card se bhi kar sakte hai. UPI payment aur wallet bhi online payment karne ke tarike hai. UPI payment aur wallet payment sabse jyada popular tarike hai online payment karne ke.
UPI ya wallet payment karne k liye apko smartphone aur internet ki jarurat hoti hai. Par esa kayo baar hota hai ki humare network m internet sahi se nahi chal raha hota hai.
In cases m jyadatar apko UPI payment karne me dikkat hoti hai. To ky aap internet na hone par UPI payment nahi kar sakte?
Aaj ke time par aisi bhi ek technique hai jiske through aap bina active internet k UPI payment kar sakte hai. Is technique ki help se aap apne smartphone ya feature phone ke help se UPI payment kar sakte hai.
Aur Padhe: sesa tel ke fayde
Agar aap bhi bina internet k UPI payment karna chahte hai to neeche diye hue gaye steps ko follow kare:
- Sabse pehle apne mobile k dialer m *99# dial kare
- Ye hash code dial karte hi apko apke mobile screen par ek menu dikhega. Is menu m kafi sare option hote hai. Ye options hai send money, request money, check balance, my profile, pending requests, transactions and UPI pin.
- Agar apko UPI payment karna hai to pehla option: send money k number (1) ko likh kar send kare
- Number option send karte hai aap ke samne ek aur menu khulega. Usme bhi kafi sare options honge. Ye options hai: Mobile number, UPI id, saved beneficiary, IFSC account number, aur back.
- In options k help se aap aaram se online payment kar sakte hai. Agar aap mobile number ki help se paise bhejna chahte hai to uske samne wale option ka number press karke bheje.
- Option chose karne k baad, aap ko jitna payment karna hai uska amount likhna hai. Amount likh kar send par click karde.
- Transaction complete karne k liye apko amount dalne k baad apna UPI pin dalna hai
- UPI pin dalne k baad send par click karde.
Send par click karte hai aapka online payment successful ho jayega. Is tarah aap bina internet k online payment kar sakte hai. Par ky sirf UPI payment hi possible hai? Aaye jante hai un alag options ka kya mtlb hai.
First Menu ke options
Sabse pehle wale menu m apko neeche diye hue options millenge:
- Send Money : Send money ke option ke help se aap kisi ko bhi apne account se paise bhej sakte hai.
- Request Money: Request money ke option ke help se aap apne account me paise receive kar sakte hai. Is option k help se aap kisi aur se online payment maang sakte hai.
- Check Balance : Is option k help se aap apne account ka existing balance check kar sakte hai.
- My Profile: My profile k option ke help se aap apni complete banking profile ke details dekh sakte hai
- Pending request: Pending request apko apki koi pending request ka status check kar sakte hai
- Transactions: Transactions option ke help se aap apne purane kiye hue transactions dekh sakte hai.
- UPI Pin: Is option ke help se aap apni UPI pin k related saari information ko dekh aur check kar sakte hai.
Second Menu k options
Online payment karne ke liye apko first menu se Send Money wala option choose karna hota hai. Send Money option choose karne par aap ko neeche diye hue dusra menu ka option dikhta hai:
- Mobile Number: Is option ke help se aap mobile number k through payment send kar sakte hai
- UPI ID : Is option ke help se aap UPI ID k through online payment kar sakte hai
- Saved Beneficiary : Is option ke helps agr apne account m kisiko beneficiary add kar rakha hai to ap un logo ko online payment kar sakte hai
- IFSC account number: is option ke help se aap account number k jariye online payment kar sakte hai